Hame ye roz_o shab ka silsala acha nahi lagta
kissi se baat karna ho, koi bhi zakhm bharna ho
kabhie be-haal ho ker koye_janaa’n se guzarna ho
tumhari yaad mei rehna ho keh khud se mukarna ho
kissi kharf_e tassalli se yeh dil ka zakhm bharna ho
muhabbat ki dua hontoa’n pe rakh ke muskurana ho
darahtoa’n pe tumhara naam likh ke bhool jana ho
kissi be-khawaab shab mei chashm_e veraa’n ko sulaana ho
tumhari khushboaon se kheemay_e jaa’n ko sajana ho
ya phir shehr_e sakoot_e sham_e gham mei geet gana ho
yunhi be waja kaifiyat mei ashkoa’n ko bahana ho
kissi jazbe ka bhi chehra hame sacha nahi lagta
keh ab tu roz_o shab ka silsala acha nahi lagta
By:
Noshi Gilani ![]()