uska abba hi pehelwaan tha acha khaasa
warna shaadi ka to imkaan tha acha khaasa
us ki amma say pareshaan na tha mein hi faqat
mera abba bhi pareshaan tha acha khaasa
SHEIKH saahib nay masaail mein jakar rakha hai
warna Islam to aasaan tha acha khaasa
us k bachay nahi thak’tay mujhay maamu kehtay
jis ki janib mera ruj’haan tha acha khaasa