abr-e-bahaar ab ke

abr-e-bahaar ab ke bhii barsaa pare pare
gulshan ujaaR ujaaR haiN, jangal hare hare


jaane ye tishnagii hai havas hai ke khud’kushii
jalte hain shaam hii se jo saagar bhare bhare


hai dil kii maut ahd-e-vafaa ki shikastagii
phir bhii jo ko’ii tark-e-muhabbat kare, kare


ab apna dil bhii shah’r-e-khaamoshaaN se kam nahiiN
sunn ho gaye haiN kaan sadaa par dhare dhare

rahte haiN ahl-e-shah’r ke saaye se duur duur
ham aahwaan-e-dasht ki suurat, Dare Dare


gul ban ke phuuTtaa hai lahuu shaakh-saar se
zakhm-e-rag-e-bahaar hain patte hare hare

zindaa-dilaan-e-shah’r ko kyaa ho gayaa “Faraz”
aankheN bujhii bujhii haiN to chehre mare mare

Re: abr-e-bahaar ab ke

:k:

Re: abr-e-bahaar ab ke

:k: