Abhi waqt hai!!

Abhi waqt hai meray saath chal
Abhi paon main hain musafatain
Abhi raaston peh garift hai
Abhi hath rakha hua hai waqt ki baag per
Abhi meherbaan hai rahguzar bari door tuk
Abhi raastay bhi nahin atay huay hain ghubar main
Abhi hoslay hain jawan mere
Abhi dil main chalne ka shouq hai
Abhi manzilon ka yaqeen hai to junoon bhi hai urooj per
Yahan aik jahan main jaanay kitnay jahan hain
Abhi daikh apni umeed kay kisi baadban ko khol ker
Yeh jo kishtiyan si rawan hai seena-e-aab per
Isi aag ki hain nishaniyan yeh musafatain
Koi hasraton main suna gaya hai basharatain
Abhi waqt hai meray saath chal

Re: Abhi waqt hai!!

Nice sharing..