Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai
K ashk rokna tum sa mahaal hona hai
Har aik lab per hain mere wafaa k afsanay
Teray sitam ho abhi la-zawaal honaa hai
Baja hai k khaar hain lakin bahar ki ruut mein
Ye tay hai ab k hamain bhi nihaal hona hai
Tumhain khabar hi nahi tum tu laut jaao gay
Tumhara hijar mein lamha bhi saal hona hai
Hamrai rooh per jab bhi azaab utrain gaay
Tumhari yad ko is dil ki dhal hona hai
Kabhi tu roy ga wo bhi kisi ki bahoon mein
Kabhi tu is ki hansi ko zawaal hona hai
Milain ge hum ko bhi apna naseeb ki khooshiyan
Bus intizar hai kab ya kamala hona hai
Har aik shaks chala ga hamari rahoon per
Mohabataoon mein hamain wo misaal hona hai
Zamana jis k kham-o-pache mein oljh ja`ay
Hamari zaaat ko aisa sawal hona hai
Wasi yaqeen hai mujhy k wo laut ay ga
Isay bhi apna kiya ka malaal hona hai..