Abhi tu rut badalni thi,abhi tu phool khilnay thay
abhi tu raat dhalni thi,abhi tu zaham silnay thay
abhi tu sar zameen_e jaan pe ik badal ko ghirna tha
abhi tu wisal ki barish mai nangay paao’n phirna tha
abhi tu kasht_e ghum mai ik khusi ka khawaab bona tha
abhi tu senkaroan sochi hoi baatoan ko hona tha
abhi tu sahiloan per ik haway_e shaad chalni hi
abhi jo chal rahi hai,ye tu kuch din baad chalni thi!!!
(Amjad Aslam Amjad)
~Kiya haaq wo jeena hai jo apnay hi liyay ho
Khud mit kar kisi aur ko mitnay se bacha lay~
~~~~~~~~
phiRa aj haq kaliye jaa’N fida karay koi
wafa bhi jhooM uthay yo wafa karay koi
nimaaZ 14 sadi se hai muntaziR logo|
HussaiN ke tarha aye ada karay koi
~~~~~~~~~
~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~*