Abhi to ishq mein aisa bhi haal hona hai
Keh ashk rokna tum sey mahal hona hai
Her ek lub peh hein meri wafa kay afsaney
teray sitam ko abhi lazwal hona hai
baja kay khar hein laykin bhaar ke rut mein
yeh teah hai ub kay humein bhi nihaal hona hai
tumhein khabar he nahi tum to laut jao gay
tumharey hijer mein lamha bhi saal hona hai
hamari rooh peh jub bhi azab utrein gay
tumhari yaad ko is dil ke dhaal hona hai
kabhi to roay ga wooh bhi kisi ke bahoon mein
kabhi to us ke hansi ko zawal hona hai
melain ge hum ko bhi apnay naseeb ke khushiyan
bus intezar hai kub yeh kamal hona hai
her ek shakhs chaley ga hamari rahoon per
muhabatoon mein hamein wooh misaal hona hai
zamana jis kay khum-o-peech mein ulejhe jai
hamari zaat ko aisa sawal hona hai
wasi yaqeen hai mujh ko wooh lot aey ga
usay bhi apnay kiyae ka malal hona hai
WASI SHAH