Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
k ashk rokna tum se mahaal hona hay
har aik laab pe hay meri wafa k afsanay
tere sitaam ko abhi lazawal hona hay
**
tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
tumharay hijar main ik lamha bhi sal hona hay**
humari rooh pe jaab bhi azaab utrain hay
tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay
kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bhahoon main
kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay
milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
baas intizaar hay kaab yeh kamal hona hay
har shaks chalay ga humari rahoon per
mohabatoon main humahin woh misaal hona hay
Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
humari zaat ko aisa sawal hona hay
Wasi" yaqeen hay mujh ko woh lout aye ga
usay bhi apne kiye ka malal hona hay