*Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhtay hain
‘Faraz’ ab zara lehja badal ke dekhtay hain
Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar
Kuch aur door zara saath chal ke dekhtay hain
Raah-e-wafa mein hereef kharam koi tau ho
Wou apne aap se aagay nikal ke dekhtay hain
Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahe aata
Yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhtay hain
Yeh kaun log moujood hain teri mehfil mein
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jal ke dekhtay hain
Yeh qurb kya hai ke yakjaan huwe na door huwe
Hazaar aik hi qaalib mein dhal ke dekhtay hain
Na tujh ko maat huwi hai na mujh ko maat huwi
Sou ab ke dono hi chalain badal ke dekhtay hain
Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay
Samundaroon ki tahoon se ucchal ke dekhtay hain
Abhi tak tau na kundan huwe na raakh huwe
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhtay hain
Bahut dinoon se nahe hai kuch us ki khair khabar
Chalo ‘Faraz’ ko-e-yaar chal ke dekhtay hain …