haan abhi sooch lay
faysloon ka safar
lafz kin narm chaoon main kat-ta naheen
aur sun
faysloon ki nadamat say taqleef deh koe bhi dukh naheen
jitney khadshay mayray saath chalnay main hain
es dorahay pay ruk
aur ounhain apni aankhoon main tarteeb day
jaan lay
waqt kay dasht-e-bay barg main wapsi kay leeyay koe raasta naheen
jo hawa mayray jumlay kay aaghaaz main
tayray baaloon ko chootay hoay chal rahee thi
ousi waqt say mar chouki hay……
haan yehi waqt hay
raabtay aur ta’aluq kay maienee samajh
jitney khadshay mayray saath chalnay main hain
es dorahay pay ruk
aur ounhain apni aankhoon main tarteeb day
keh abhi tayray haatoon ka har raabta
tayray haatoon main hay
Re: abhi sooch lay
Bohat khoob....
Bohat achi nazm hai....
Share karne ka shukria.....Khush rahiye
Re: abhi sooch lay
Thanks Zamil
Re: abhi sooch lay
Buhat hi acha intekhab hai apka,, moujii ji,,, wahhh
Re: abhi sooch lay
*" WAPSI " *
us nay kaha sun
ehud nibhaanay ki khatir mut aana
ehud nibhanay walay aksur
majboori ya mahjoori ki thukun say loota kurta hain
tum jaao
aur durya durya piaas bhujaao
jin aankho main doobo
jis dil main bhi utro
meri chahat awaaz na degi
laikin jab
meri khuaaish aur meri talab ki lo
itni taiz aur itni oonchi hoojaaey
jab dil rooday
tab loot aana