abhi musaafir teri talab ka musafatoo'n kay wabaal mai hai

Teray bicharnay ki rut abhi tak nigaah mai hai khyaal mai hai abhi musaafir teri talab ka musafatoo'n kay wabaal mai hai

jawab daita rahoo’n kaha tak mai zindagi ki haqeeqatoo’n ko
qadam qadam talkhio ka pehloo to us kay har eik sawaal mai hai

mai apnay ghar say nikal para ho mohabatoo’n kay charagh lay kar
agarcha har ek hawa ka jhonka bhi apni fitrat kay jaal mai hai

hamaray husn-e-talab nay tujh ko bana dia hai nazar ka markaz
qamar ki darasal wajah-e-shoharat to chandani kay kamal mai hai

meray shanasa janam janam kay mujhay milay ajnabi samjh kar
mai khairti hon kay farq Asim ajeeb mazi-o-haal mai hai

Re: abhi musaafir teri talab ka musafatoo'n kay wabaal mai hai

Beautiful!!!

Re: abhi musaafir teri talab ka musafatoo'n kay wabaal mai hai

buhut hi khoob :)

Re: abhi musaafir teri talab ka musafatoo’n kay wabaal mai hai

wah uske har ik sawaal mein hai… umda o aala shab jee :k:

Re: abhi musaafir teri talab ka musafatoo’n kay wabaal mai hai

v.nice :k:..bohot alaa

Simply Beautiful.

Khubsoorat Choice Shab:)

Re: abhi musaafir teri talab ka musafatoo'n kay wabaal mai hai

mai apnay ghar say nikal para ho mohabatoo'n kay charagh lay kar
agarcha har ek hawa ka jhonka bhi apni fitrat kay jaal mai hai

hamaray husn-e-talab nay tujh ko bana dia hai nazar ka markaz
qamar ki darasal wajah-e-shoharat to chandani kay kamal mai hai

meray shanasa janam janam kay mujhay milay ajnabi samjh kar
mai khairti hon kay farq Asim ajeeb mazi-o-haal mai hai

waah khoobaan!!!

Re: abhi musaafir teri talab ka musafatoo’n kay wabaal mai hai

wah wah wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh … kia baaaaaaaaaaaaaaaaaat … yaniiii kaaaaaaaaaaaa mukararrrrrrrr mukararrrrrrrrrrrrrrrrrrrr … :k:

Re: abhi musaafir teri talab ka musafatoo’n kay wabaal mai hai

:k:

Re: abhi musaafir teri talab ka musafatoo'n kay wabaal mai hai

wah shabo!
i havent been able to come on GS much lately, and reading all these makes me realise jus HOW MUCH i missed being here!!

mai apnay ghar say nikal para ho mohabatoo'n kay charagh lay kar
agarcha har ek hawa ka jhonka bhi apni fitrat kay jaal mai hai

Kya baat hai, la jawaab. Thanks for sharing

Re: abhi musaafir teri talab ka musafatoo'n kay wabaal mai hai

nice one

thanks everyone. :flower1: