abhi kuch pal hamaray haath main hain

abhi kuch pal hamaray haath main hain
kon janay
kon sa lamha hamaray haath say phislay, giray
aur paaoon ki zanjeer ho jaaey
abhi yeh din jo lagta hay keh ham ek doosray kay saath
reh saktay hain pal do pal
najanay kab kahaan deewar ban jaien
abhi do chaar saansain bach rahee hain
yeh tou jhounka hain
kisay maaloom kis aahistagee say yoon guzar jaaey
keh ham daryaoon kay do mukhtalif na-aashna goongay kinaroon par
kharay
ek doosray ki shakal taknay ko taras jaeen
mayree awaaz tayree yaad main zinda ho bas
aur main tayree tasweer aankhoon main leeyay roona choupaoon
shehar waloon say
abhi kuch pal hamaray haath main hain
ham jo chahain gay tou kuch kam kam bhi mil lain gay
magar janay kahaan …. ?
kab ….?
Kon sa lamha….?

Masha Allah...... khuda aap ko khush rakhay

WoOOooOOOW, Xcellent :k::k:

aaen gay voh lamhay bhi...
b/w a very touchy piece of poetry...Thanks for sharing..

Nice one bhai jee :k: