Abhi kuch din laggaiN gey
Dil Aisay shehr kay paamaal ho jaanay kaa manzar bhoolnay maiN
Abhi kuch din laggaiN gey
jahaan-e-Rung kay saaray Khus-O-Khaashaak, sub sur-O-Sanobar bhoolnay maiN
Abhi kuch din laggaiN gey
Thakay haaray huvay khwaabouN kay saahil par, kaheeN ummeed kaa choTa saa ik ghar
bantay bantay reh gaya hay
woh ik ghar bhoolnay maiN, Abhi kuch din laggaiN gey
magar abb din hee kitnay reh gaye haiN
Buss, ik din Dil kee Loh-e-Muntazir par
Achaanak
Raat utray gee
meri baynoor AankhouN kay khazaanay maiN chuppay har khwaab kee takmeel kar day gee
Mujhay bhee khwaab maiN tabdeel kar day gee
Ik aisa khwaab jiss kaa dekhnaa mumkin naheeN thaa
Aik aisaa khwaab jiss kay daaman-e-sud chaak maiN koie Mubarak
koie roshan din naheeN thaa
Abhi kuch din laggaiN gey
Waqat marham nahi houta, waqt guzarne kw sath sath insan Ki zindagi Mai doosre events atay jatay rehte hain tou past Ki baten dhundhli houna shuroo ho jati hain, aahiste aahiste insan doosri baton pe focus karta jata hai Pehley Ki baton ko us tarah feel nahi karta jesi wo thee, isliye kehte hain ke waqt marham hai.
Waqt marham nahi hai, waqt ke sath sath sab badalta hai,waqt khud bhi to basal jata hai. Khair I think it's same thing but we both have different Perspective.