Faraz ab zara lehja badal key dekhtey hein
judaayian tou muqaddar hein phir bhi jaan-e-safar
kuch aur duur zara chal key dekhtey hein
raah-e-wafa mein hareef-e-kharraam koi tou hou
sou apney aap sey aagey nikal key dekhtey hein
tu saamney hai tou phir kyun yaqeen nahin aataa
yeh baar baar jou aankhoun kou mal key dekhtey hein
yeh koun loag hein moujood teri mehfil mein
jou laalachoun sey tujhe, mujh kou jal key dekhtey hein
yeh qurb kiya hai key yak-jaan huey naa duur huey
hazaar aik hi qalib mein dhal key dekhtey hein
Naa tujh kou maat hui hai naa mujh kou maat hui
sou ab key donoun hi chaalein badal key dekhtey hein
yeh koun hein sar-e-sahil key doobney waaley
samandroun ki tahoun sey uchal key dekhtey hein
abhi talak tou naa kundan huey naa raakh huey
hum apni aag mein har roaz jal key dekhtey hein
bohat dinon sey nahin hai kuch uss ki khair khabar
chalo Faraz koo-e-yaar chal key dekhtey hein
(Ahmed Faraz)