abhi juda na karo

meri dukh ki koyee davaa na karo
mujhko mujhse abhi juda na karo
nakhuda ko khuda kaha haiN to phir
doob jaavo, khuda khuda na karo
yeh sikhaya haiN dosti ne hameN
dost bankar kabhi wafaa na karo
ishq haiN ishq, yeh mazaak nahiN
chand lamhoN meiN faisla na karo
ashiqui ho ya bandgee(bandgi), ‘Ali’
be-dilli se tho ibtida na karo

bohot achay :k:

[QUOTE]
be-dilli se tho ibtida na karo/QUOTE

Mashallah

Very nice and welcome....

Well thanx for u r good response...

**
Ishq hai ishq, yeh mazaak nahee
Chand lamhoon mein faisla na karo**

:k::k::k: