**Abhi es traf na Nigah kr,
Main Ghazal ki Palken sanwar lun ,
Mera lafz lafz ho Aaina,
Tjhe Aainy me utaar lun ,
Main tmam Din ka thka hua,
Tu tmam shab ka jga hua ,
Zara thehr ja isi Mor pr,
Tery sath Shaam guzaar lun ,
Agar Aasman ki Numaish me,
Mjhe b Izn-e-Qayam ho ,
To Main motiyon ki dukaan se,
Teri baliyan, Tery haar lun ,
Kai Ajnabi teri Raah k,
Mery paas se yun Guzar gye ,
Jinhe dekh kr ye tarap hui,
Tera Naam le kr Pukaar lun…!**