**abhi dikhaaye gi manzar ye zindagi kiya kiya
bakherti hay andhere ye roshni kiya kiya
hawa ki tarha too har ik ki dastaras main hay
tere fasaanay sunaatay hain log bhi kiya kiya
baraaye ehl e tamasha,wasaal teesha o sang
baraaye ehl e tamanna hay tishnagi kiya kiya
wo aik pal ki mulaaqat,umar bhar ki khalish
basaa gaya hay nazar main wo ajnabi kiya kiya
fareb e aks,tamanna k rang,dheyan ki peeng
khilonay chorr gaya hay wo aadmi kiya kiya
chamak utthay hain sitaaray humaari palkon par
sajaa gaii hay mundderon pe chaandni kiya kiya
zameer jabr e musalsil to zaat e habs e dawaam
sazaayen deti hay dekho khud aagahi kiya kiya
wo nain naqsh to ghazlon main kab k ddhal bhi chukay
likhogay or bhala un pe “SHAM” g kiya kiya
**