~Abhee to wo hamaray wastay roya nahin hoga~

Ajab din thay mohobbat kay Ajab mousam thay chahat kay Kabhee gar yaad ajain to palkon par sitaray jhilmilatay hain Kisi ki yaad main raton ko aaksar jagna mamool tha apna Kabhee gar neend ajati to ham yeh soch letay thay Abhee to wo hamaray wastay roya nahin hoga Abhee soya nahin hoga Abhee ham bhee nahin rotay Abhee ham bhee nahin sotay So phir ham jaagtay au rus ko yaad kartay thay Akailay beth kar weeran dil abad kartay thay Hamaray saamnay taronkay jhurmut main akila chaand hota tha Jo us kay husn kay agay bahut hee mand hota tha Falak par raqs kartay an ginat roshan sitaron ko Jo ham tarteeb detay thay To us ks naam banta tha Ham aglay roz jab miltay To guzree raat ki har bay kali ka zikr kartay thay Har ik qissa batatay thay Kahan kis waqt kis tarha say dil dhrka batay thay Main jab kehta kay janan aaj to main raato ik pal nahin soya To wo kahamosh rehti thee Par us ki neend main doobi huee do jheel see ankhen Achanak bol uthtee theen Main jab us ko bata tha Kay main nay raat ko roshan sitaron main tumhara naam dekha tha To wo kehti , razi tum jhoot kehtay ho Sitaray main nay dekhay thay Aur un roshan sitaron main tumhara naam likha tha Ajab masoom larki thee Mujhay kehti thi lagta hai kay ab apnay sitaray mil hee jaingay Magar us ko khabar kya thee Kinaray mil nahin skatay Mohobbat ki kahani main Mohobbat karnay walon kay Sitaray mil nahin saktay Sitaray mil nahin saktay

bohat khoob :-)

thnx for working hard and sharing this with us:)

bohat khoob :k: :k:

It is really nice.
aap ki hai ?
thanks for sharing zawanfira