Abb Khush Ho Na Mujhe Maar Ker..

Ahmer,

duusray she'r kay pehlay misray kay liay maiN ye 3 misray tajveez ker raha hooN jo aap ko Theek lagay apna lijay ga... aur apnay hisaab say Theek bhi ker lijay ga.

"mera saath do kisi roz tum"

ya

"ghaRi do ghaRi mera saath do"

ya phir

"mera saath do kabhi chaar pal"

aik baat aur bhi kahooN ga kay choThay she'r maiN aap nay lafz "jabar" baandha hay jis ka saHeeH talaffuz "jabr" jis say wazn kharaab honay ka ahtemaal hay.... aap is misray ko bhi apnay hisaab say change ker lijay ga..

umeed hay aap in tamaam batoN ko meHsoos naheeN keraiN gay, maiN sirf tajaaveez day raha hooN warna mera ilm aur tajarba bhi bohat hi meHdood hay aur maiN khud bhi abhi seekhnay kay amal ka hi hissa hooN...

Allah aap ko shaad rakhay (aameen).

Mukhlis,
Muhammad Ahmed.