achhi ghazal hay... paRh ker lutf aaya... ! Ghazal puri behar maiN hi hay bas zara doosray she'r ka pehla misra aur chothay she'r ka doosra misra zara si tavajja chahta hay... aap dekh lijay ga... umeed hay aap meri baat ko meHsoos naheeN keraiN gay....
thanks alot Ahmed jee.. n aap theek keh rahay hain.. mujhe bhi problem lagti hai 2nd sher k pehle misray main.. aap kuch suggest kejay.. meray to zehen main kuch nahi araha
duusray she'r kay pehlay misray kay liay maiN ye 3 misray tajveez ker raha hooN jo aap ko Theek lagay apna lijay ga... aur apnay hisaab say Theek bhi ker lijay ga.
"mera saath do kisi roz tum"
ya
"ghaRi do ghaRi mera saath do"
ya phir
"mera saath do kabhi chaar pal"
aik baat aur bhi kahooN ga kay choThay she'r maiN aap nay lafz "jabar" baandha hay jis ka saHeeH talaffuz "jabr" jis say wazn kharaab honay ka ahtemaal hay.... aap is misray ko bhi apnay hisaab say change ker lijay ga..
umeed hay aap in tamaam batoN ko meHsoos naheeN keraiN gay, maiN sirf tajaaveez day raha hooN warna mera ilm aur tajarba bhi bohat hi meHdood hay aur maiN khud bhi abhi seekhnay kay amal ka hi hissa hooN...