abb bhi tum na aao gey kaya
chaman main hain phir baharain aain
gul-o-boo hazaaron qisam saath laain
dil pay magar hain khizaaein chaaein
baharain hamaari na loutaao gey kaya
abb bhi tum na aao gey kaya
hai munn pay chaai ajab udaasi
kay door hain dil say, dil kay baasi
hain aankhain deedaar ki payaasi
tishnagi na bujhao gey kaya
abb bhi tum na aao gey kaya
weeran hai ghar tumhary bina yoon
bayabaan koi dasht-e-pur-khaar ho joon
phirta hoon iss main main misl-e-majnoon
issay aa kay phir na sajaao gey kaya
abb bhi tum na aao gey kaya
ghar ko abb hum sajaaty nahin hain
naghma bhi koi gun-gunaaty nahin hain
nizaary bhi ab dil lubhaaty nahin hain
shaguftagi na loutaao gey kaya
abb bhi tum na aao gey kaya
bhooli hoi hain kahawat ki baatein
hawadass kay kissay, shuja’at ki baatein
faqat yaad hain teri aahaT ki baatein
phir baatein ye na sunaao gey kaya
abb bhi tum na aao gey kaya
raat hai saari aankhon main kaTati
yaad teri dil ko har dam hai dasti
hai paishaani tairy lamas ko tarasti
meethi neend na sulaao gey kaya
abb bhi tum na aao gey kaya
ghalib ka nahin tairy bin ab guzaara
hayaat lagay hai ussay ik khasaara
kahin na guzar jaai jaan say baichaara
abhi uss ko aur sataao gey kaya
abb bhi tum na aao gey kaya