AQ
1
humm nay seekh liyaa jeenaa logouN kee muskurahaTTouN maiN:)
Zakham naasoor bunn gaye thay dil kee chahatouN maiN
Aisaa dard milaa thaa dushwaar ho gayaa thaa jeenaa
Ab zindagi challee tau hay dukh kee aahaTouN maiN
AahaiN bhari theeN aisee kay arsh kaaNp uTThtaa
Dil-e-YazdaaN pighal jaataa mairee Aah-O-fighaaN maiN
Woh shakhs Anwaar jo aayaa thaa khudd qareeb
Aa kar kho gaya hay sunnsaaan raastouN maiN:flower1:
– Anwaar
system
4
AahaiN bhari theeN aisee kay arsh kaaNp uTThtaa
Dil-e-YazdaaN pighal jaataa mairee Aah-O-fighaaN maiN
Beautiful :)
Re: Ab zindagi challee tau hay dukh kee aahaTouN maiN
bohut khoob:k:
AQ
12
[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
sunnsaaan raastouN maiN
[/QUOTE]
haaN:) hummaaray liye tau sunsaan hee haiN naa :-)
Lamhay
13
Re: Ab zindagi challee tau hay dukh kee aahaTouN maiN
Amazing Stuff Anwaar qureshi.. So true
aisa jaisay kisi nay meri dastaan Raqum kardi … thanks 4 sharing!
AQ
14
Re: Re: Ab zindagi challee tau hay dukh kee aahaTouN maiN
[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
aisa jaisay kisi nay meri dastaan Raqum kardi ... thanks 4 sharing!
[/QUOTE]
LOL.. sub kee aik hee daastaan hay :-) *sigh