Ab yeh sochun to bhanwar zehen mein par jatay hain
Kaisay chehray hain jo miltay he bichar jatay hain
Kyun teray dard ko dein tohmat-e-veerani-e-dil
Zalzalon mein to bharay shehar ujjar jatay hain
Mousam-e-zard mein ek dil ko bachaon kaisay
Aisi rutt mein to ghanay pairr bhi jharr jatay hain
Ab koi kya meray qadmon k nishaan dhoonday ga
Taiz aandhi mein to khae’may bhi ukharr jatay hain
Shughal-e-arbab-e-hunar puchtay kya ho k yeh log
Pathron mein bhi kabhi aienny jurr jatay hain
Soch ka aieena dhundla ho to phir waqt k sath
Chaand chehron k khad-o-khaal bigar jatay hain..
Mohsin Naqvi