ab ye meyaar-e-shaharyaari hai

*ab ye meyaar-e-shaharyaari hai
kaun kitnaa baDaa madaarii hai

hamne roshan chiraaG kar to diyaa
ab havaaoN ki zimmedaarii hai

umar bhar sar buland rakhtaa hai
ye jo andaaz-e-inksaarii hai

sirf baahar nahiiN muhaaz khulaa
mere andar bhii jang jaarii hai

ek musalsal safar meN rakhtaa hai
ye jo andaaz-e-taazakaarii hai

miT rahii hai yahaaN zabaan-o-Gazal
aur Ghalib ka jashn jaarii hai


Restored attachments:

Re: ab ye meyaar-e-shaharyaari hai

ye do Ash'ar khaas tour pe pasand aaey :-)

Re: ab ye meyaar-e-shaharyaari hai

Thanks :-)

Re: ab ye meyaar-e-shaharyaari hai

nice sharing :)

Re: ab ye meyaar-e-shaharyaari hai

Nice ones

Re: ab ye meyaar-e-shaharyaari hai

nice 1 :)

Re: ab ye meyaar-e-shaharyaari hai

Thanks All :-)