~~ Ab YaaD Dila'ey KauN Tumhai'N ~~


+++++++++++
-----------------------------------

Ab Yaad Dila’ey Kaun Tumhai’n

Yeh Saal Bhi Aakhir Beet Gayaa

Woh Sard Hawa’ain Ab Bhi Hain

Rangeen Fiza’ain Ab Bhi Bhi Hain

Woh Bheegi Bheegi Pani Ki

Rur-Shor Sada’ain Ab Bhi Hain

Hum Bhi Udher Ko Jaatay Hain

Jab Tum Nahee’n Hotay Paas Mayary

Hotay Hain Khali Haath Mayray

Pur-Shor Sada’ain Poochtee Hain

Woh Sard Hawa’ain Poochti Hain

Woh Kahaa’bn Gaya Hay Dost Tayraa ??

Woh Kahaa’n Gaya Hay Meet Tayra ??

KIYA PHIR YAY ZAMANA JEET GAYAA ??

Ab Yaad Dila’ey Kaun Tumhai’n

+++++++++++++++++++++++

================



Nice :k:

Re: ~~ Ab YaaD Dila'ey KauN Tumhai'N ~~

Khud hee yaad dilao na....

Re: ~~ Ab YaaD Dila’ey KauN Tumhai’N ~~

^:eek: capo abi zinda ho :smiley:

Re: ~~ Ab YaaD Dila'ey KauN Tumhai'N ~~

Han han, Masha-Allah zinda hoon, meree jaan kee dushman kaheen kee :D

v.beautiful...as usual...Ab Yaad Dila'ey Kaun Tumhai'n...:)

Thanx Shab’bo :~)

Itna TIME Naheen Hay Mayray Paas :snooty:

:aq:

Thanx Janab :~)