Mohabbet jub laho bun ker
ragooN main sur-suraaye tu
koi bhola howa chehra
achanuk yaad aaye tu
kadam mushkil sey uthtey hoon
iraada digmagaye tu
koi mudhum sey lehjay main
tumhey wapis bulaye tu
tehr jana
samajh laina
kay ab wapis palutney ka amal aghaaz hota hai
kabhi tumhayooN ka durd
aankhooN main samaye tu
koi lamha guzishta chahutooN ka
jub sataaye tu
kissi ki yaad main rona
tumhey bhi khoo(n) rolaaye tu
agar tum sey tumhara dil
kissi dum rooth jaye tu
kabhi un-honiyooN ka dur
parindooN ko uraaye tu
hawa jub paair sey ik zurd sa
pata giraye tu
tehr jana
samajh laina
kay ab wapis palutney ka amal aghaaz hota hai..
Well said... very nice...
hawa jub paair sey ik zurd sa
pata giraye tu
tehr jana
samajh laina
kay ab wapis palutney ka amal aghaaz hota hai..
Beautiful
Marhalay shooq ki dushwar howa kartay hain
Sa'ey bhi raah ki deewaar howa kartay hain
Thanx dilsay, :)
Thanx azad, :)
nice one :)
Wonderful !
Re: Ab wapis palutney ka amal aghaaz hota hai..
lajawab:k::k:
Thanxxxxxxxxx All
^^
nice one Vavaaaaayeeeeeee