**ab us se rishta-e-jaaN ustuwar apna hai
wafaa kare na kare phir bhi yaar apnaa hai
wohi hai saaz-e-moHabbat , wohi hai soz-e-nihaaN
usee k faiZ se dil , laala zaar apna hai !
Khuda kare k usay bhi hamari yaad aye
woh jis ki yaad maiN dil be-qaraar apna hai
chale bhi aao k phir se bahaar aajaaye
bichaR k tum se chaman Khaar Khaar apnaa hai !
woh jin ko chhoray hameN ik zamaana beet gayaa
sunaa hai ab bhi unheN intezaar apnaa hai !
hameN bhi taab nahiN dastaaN sunaane ki
unheN bhi zikr-e-wafa nagawaar apnaa hai !
dayar Ghair maiN kis se kaheN Hadees-e-dil ?
yahaaN pe kon bhala Ghamgusaar apna hai !
yeh iztiraab-e-moHabbat nahiN to phir kya hai?
bahaar maiN bhi chaman sogwaar apnaa hai !
faZaa-e-koocha-e-jaanaN se Saaf zaahir hai
Sabaa k lab pe payaam-e-bahaar apnaa hai !
jigar k Khoon se seencha hai ham ne gulshan ko
ye rang-o-noor ye naqsh o nigaar apnaa hai !
ham aasmaan-e-moHabbat k rehne waale haiN !
har ik dayaar se acha dayaar apna hai !
kisee k shauq maiN kyaa kyaa na marhalay aaye
magar woh josh-e-junooN bar qaraar apnaa hai !
yehi bohut hai moHabbat se aashnaa to howe
balaa se daaman-e-dil taar taar apnaa hai !
maqaam jaisa bhi aaye ruke na apne qadam
rah-e-wafaa maiN yehi ik shuaar apnaa hai**