**
Ab tum say mulaqaat ki hasrat nahin rahi
us joor-e-tamanna ki zaroorat nahin rahi
go ho chukay ho tum bhi kisi aur kay lekin
ab tum ko chahnay ki bhi aadat nahin rahi
mayoos ho chukay hain ab usshaq-e-zamana
zahnoon mein soochnay ki bhi taqat nahin rahi
ab khud hi apnay aap mein aanay laga hay dil
ab dil kay maarnay mein wo mehnat nahin rahi
rastay mein chaltay chaltay lo wo morh aagaya
ab jism mein chalnay ki bhi taqat nahIn rahi
go tujh say mulaqaat ki kartay thay tawaqqu
per ab wo mulaqaat mein rahat nahin rahi
batoon mein iKhtiyaar jo kartay thay tum
ab teray taKhatub mein wo chahat nahin rahi
by Nabeel
**
Awesome and touchy selection Lamhay ji :k::k::k:
Ay maut unhain bhulaaye zamaane guzar gaye
Aa jaa ke zehar khaaye zamaane guzar gaye
Oh jaane waalay a ke tere intezaar mein
Raastay ko ghar banaaye zamaane guzar gaye …***
Azad
June 10, 2004, 7:51am
3
koi baat nahi hum mil layte hain
Arvind
June 16, 2004, 3:30pm
6
Someone finally wrote a gazal that hits home as real!
Lamhay
June 17, 2004, 8:09pm
7
:hehe: lolzz Tuba hai hamesha thehri baat karna .
Lamhay
June 17, 2004, 8:10pm
8
Thanks Manan, Zf, HH and arvind....
SuraJ
June 22, 2004, 5:13am
10
go tujh say mulaqaat ki kartay thay tawaqqu
per ab wo mulaqaat mein rahat nahin rahi
wah wah kiya baat hai je aap ney tu level kar diya :D:
bahut umda
ham ko milli nah, Tum ko MIlli wuh Rahat hi kuch aisi thi
thx 4 sharing
Re: Ab tum say mulaqaat ki hasrat nahin rahi…!!
buhat khoob :k:
thanx for sharing
Daagh
June 22, 2004, 1:50pm
12
very beautiful Lamhay jee :)