ab tu is tarhan say din guzar jatay hain

ab tu is tarhan say din guzar jatay hain…
khizan may zard patay jis tarhan bikhar jatay hain…

wafa k baab may younhi aa gaya zikar tumara…
warna loag tu miltay or bichar jatay hain…

hijar ki raat itna tu karam kar hum par…
aik kiran day umeed ki,hum diya jalatay hain…

phir wohi manzar,wohi mosam,wohi rastay hain…
hum sir jhuka k khamoshi say nikal jatay hain…

hum say tu na tabdeel howa shewa-e-zindagi…
loag kis qadar asani say badal jatay hain…

wasal ki raat bhi ayee gi akhir aik din asad…
isi umeed pay aashiq zindagi say guzar jatay hain…

Re: ab tu is tarhan say din guzar jatay hain

Ashiqi se maar gaya bechara :hinna:

Re: ab tu is tarhan say din guzar jatay hain

hum say tu na tabdeel howa shewa-e-zindagi…
loag kis qadar asani say badal jatay hain…

:lajawab:

Re: ab tu is tarhan say din guzar jatay hain

baat to sach hai lekin baat hai ruswaai ki : P