Bachpan ki dukh bhi kitne achay hotay thay
Tab tu sirf khilone toota karte thay
Woh khushiyaan bhi jaane kaisi khushiyaan theen
Titlee ke par noch ke uchla kartay thay
Paoon mar ke khud baarish ke paani mein
Apni nao aap daboya kartay thay
Ab sochain tu chout se parti hai dil per
Aap bana ke aap gharounday tora karte thay
**Ab tu ek aansoo bhi ruswa kar jaata hai
Bachpan mein ji bhar ke ro tu letay thay **![]()