" Ab Tera Naam bhi aaey ga Meray Naam kay saath "
’ Zindagi apni guzar jaey gi aram kay saath "
aaj subah say yeh gana meray labo par hai … main bohat khoosh hon
kabhi usay dekhta hon kabhi usay choomta hon … meri khooshi ka koi thikana nahi …
aray aray aap ghalt smajh rahay hain .. aisa kuch nahi hai main shareef admi hon … bat sirf itni hai kay ![]()
meri biwi ka naya computerized shinaktee card ban kar agaya hai jis par uskay nam kay sath uskay walid ki bajey mera nam as a shohar likha hua hai…![]()
NADRA kay office chakkar laganay walay meri khoshi ka andza laga saktay hain
" zindagi apni guzar jaey gi aranm kay sath " :bhangra: