wafa ye hai k ab tak jee rahay hen
jafa ye hai k ab tak jee rahay hen
ye hona tha k mar jaatay bichar kar
hua ye hai k ab tak jee rahay hen
khata ye thi nihaayat sakht-ja’n thay
saza ye hai k ab tak jee rahay hen
haqeeqat aur hai lekin jawaaban
kaha ye hai k ab tak jee rahay hen
teri chaara-gari ka moajza hai
suna ye hai k ab tak jee rahay hen