Dukhoon mein tu hamdard bhi aksar nahee aatay
Sehra ki ayaadat ko samundar nahee aatay
Raas aa gaya ab un ko bade shehroon ka mahool
Ab sooni haweli mein kabootar nahee aatay
Mumkin hai bichar jaayain is morr pe hum tum
Yeh haadsay kuch soch samajh kar nahee aatay
In shokh parindoon ka ab kare kaun bharosa
Mausam teri yaadoon ke pallat kar nahee aatay
Kamzarf se jo bheek na lete thay Nasir
Basti mein meri ab woh Qalandar nahee aatay...
wah bahut khoob!thanks 4 sharing !!