kyoun raat ki raet pay bikhray huay
taaron k kankar chunti ho
kyoun sannatay ki salwat mein
lipti awaazein sunti ho
kyoun apni piyasi palkon ki jhaalar mein
khwaab piroti ho
kyoun roti ho …
ab kon tumhari ankhon mein
sadion ki neend undaelay ga
ab kon tumhari chaahat ki
haryaali mein khul khaelay ga
ab kon tumhari tanhaee ka
andekha dukh jhaelay ga
ab aesa hai
ye raat musallat hai jab tak
ye sham’ein jab tak jalti hein
ye zakhm jahan tak chubhtay hein
ye saansein jab tak chalti hein
tum apni soch k jungle mein
raah bhatko aur phir kho jao
ab so jao … !!!