~*~ Ab sirf khamoshi hai muqaddar ka sitaara ~*~

*Jab gham meri dharkan meri baatoon se ayaan thaa … Tu kahaan thaa
Jab chaaroon taraf dard ke dareyaa ka samaan thaa … Tu kahaan thaa

Ab aaya hai jab dhal gaye hain sabhi mausam, mere hamdam
Jab tere leye mera har ehsaas jawaan thaa … Tu kahaan thaa

Ab sirf khamoshi hai muqaddar ka sitaara, mere yaara
Jab lab pe faqat tera faqat tera bayaan thaa, Tu kahaan thaa

Ab aaya hai jab kaam dikha gaya saawan, mere saajan
Jab chaar sou mere khushiyaan ka samaan thaa, Tu kahaan thaa …

Re: ~~ Ab sirf khamoshi hai muqaddar ka sitaara ~~

wowwwwww
lajwaab sharing

Re: ~~ Ab sirf khamoshi hai muqaddar ka sitaara ~~

khoob!