~ Ab shikwa kisi se kya karna, taqdeer mein jo likha thaa mila ~

Yaadoon se rishta kal bhi thaa, yaadoon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta thaa, dil afsurdaa sa aaj bhi hai

Tum door huwe majboori mein, hum toot gaye is doori mein
Kabhi wakt milay tu laut aana, yeh dil ka daawa aaj bhi hai

Woh saahil woh mitti geeli, mitti ke gharonday saahil per
Saahil ki bipharti maujoon se, gharoundoon ko bachaana aaj bhi hai

Tum khush raho abaad raho, dil apna tu barbaad huwa
Gham dil ka sahaara kal bhi thaa, aur gham ka maara aaj bhi hai

Yeh ashk nahee hain aankhoon mein, yeh taaray jhilmil kartay hain
In aankhoon mein jo kal tak thaa, wohi chaand sa chehra aaj bhi hai

Ab shikwa kisi se kya karna, taqdeer mein jo likha thaa mila
Gham kal bhi mera sarmaaya thaa, gham mera wirsa aaj bhi hai …