Ab rah gaye kaha woh purani moHbatain

Ab rah gaye kaha woh purani moHbatain
Kar rahay hain woh bhi zubani muHbatain

Is rah par chalo to tumHay yaad ye rahay
Hoti nahi hain asaa’n nibhani moHbatain

Har mor har qadam par tumHay yaad aoo ga
Asaa’N nahi hain meri bhulani moHbatain

Dil ka na haal pochiye chehra hi dekhiye
HuM ko bhi agaye hain sajani moHbatain

ApNo se mila kuch nahi to kya huwa ruMaan
HuM jee lay gay lakay begani moHbatain

Re: Ab rah gaye kaha woh purani moHbatain

nibhani, bhulani, sajani,… zanaani muhabaten :cb: