Bheer mein chaaroon taraf chehray anjaanay milay
Mere apne aaj mujh se ban kar begaanay milay
Thaa bharosa dostoon per itna ke mujh se na pooch
Jin ke hathoon mein thay patthar log pehchanay milay
Ban ke marham waqt hi bharta hai har ek zakhm ko
Jaise jaise waqt beeta zakhm poraanay milay
Kis ke aagay rotay aur suntay apni daastaan
Basti thee ujri huwe sunsaan thikaanay milay
Ab na maangenge Ilaahi zindagi ki bheek hum
Ishq mein shama ki yeh kehtay huwe parwaanay milay
Dil diya thaa naaz se jis jis ne apni jaan ko
Chaand toota dil ke tukray un ko nazraanay milay
Maazi ki yaad mein sab doobay huwe thay is qadar
Khwaab tere shehar ke sab log deewanay milay
wow.. beautiful.. :k:..
good1