muqaddar phir say aaRay aa gaya na
gulab es baar bhi murjha gaya na
kaha bhi tha ke palkain moondna mat
kisi ka khawb phir chounka gaya na
bhula baythay thay jis ko tum achanak
phir aglay mour par takra gaya na
mayree haalat pay tum hayrat zada thay
tumhain bhi dasht aakhir bha gaya na
zara bhi paon main larzish naheen hay
hamain kantoon pay chalna aa gaya na
ousay jatay hoay daykha hi keon tha
woh manzar aank main pathra gaya na
wohi milna, bicharna, toot jana
kahani waqt phir dohra gaya na
muhabbat es jahan ki shaay naheen hay
samajh main ab tumharee aa gaya na
kaha tha hijar palkoon say na choonanna
amawas aankh main tehraa gaya na
Dilsay
3
Beautiful and thanks for sharing...
Wah...Zabardast... Lovely Choice...
aab main jealous hona shoro ho rahe hon ...yeh ittni ache ache collection kahan se mil rahe hai janab ? lolz
[QUOTE]
*Originally posted by P}{ä®mä©Ï§t: *
Wah...Zabardast... Lovely Choice...
aab main jealous hona shoro ho rahe hon ...yeh ittni ache ache collection kahan se mil rahe hai janab ? lolz
[/QUOTE]
lolzzz aap hi jaisay loogon say jeenay ka aur estaqamat ka saleeqa layta hoon....
thanks for liking Ambreen
Re: ~~ab Muqaddar samajh main aa gaya na ~~
Wah :k:
[QUOTE]
*Originally posted by Man de Mouj: *
lolzzz aap hi jaisay loogon say jeenay ka aur estaqamat ka saleeqa layta hoon....
thanks for liking Ambreen
[/QUOTE]
Lolz... aab aaise bhi baat nahi ... anyway you are Welcome..
Pramod
11
bahot achhi ghazal hai Man de Mouj.
thanks for sharing......
simply a marvellous piece of poetry! 
muhabbat es jahan ki shaay naheen hay
samajh main ab tumharee aa gaya na
shaay=thing ??
did I get it right
and plz do write the poets name.
Exactly weteyes… you’ve got it right… Shaay means thing..
ameen
15
Re: ~~ab Muqaddar samajh main aa gaya na ~~
[QUOTE]
*Originally posted by Man de Mouj: *
bhula baythay thay jis ko tum achanak
phir aglay mour par takra gaya na
mayree haalat pay tum hayrat zada thay
tumhain bhi dasht aakhir bha gaya na
[/QUOTE]
beautiful.