Ab main finally sonay jaa raha hoon...

Re: Ab main finally sonay jaa raha hoon…

Salam arz hain

aap ka khat parh kar mera dil khushi say garden garden ho gaya. Jiss may nightingales sing kar rahein houN. jiss may chouttay chouttay bachay sand box may khail rahay ho. Jiss may boorha aur boorhi haath pakar kar walking kar rahay ho. App ko andaza nahee kay iss waqat meri halat kiya hai. Haath may khat hai aur aankhouN may maskara.

Munnay ka bukhaar sunn kar pareshaani si ho gayee hai. Uss ka khaya rakhein. Uss ko bukhaar ki dawah pilayein…panadol ko paani may ghoul kar pila dein ..magar addhi say kam panadil lijiye ga. Baqqi ALLAH uss ko shiff day, ameen.

Babli tou masha’allah abb barri ho chukku hougi. Aaj bhi yaad hai mujhay kay woh kaisey har waqt lota haath may liye phirti thee app kay peechay. Banti kiya abhi bhi shrarti hai? Kiya woh abhi bhi aap ki shalwar ka elastic nikaal daytahaii? bachouN ko bohut bohut piyaar dayna mera. Unn say kehna phouphou bohut yaad karteeN hain unn ko.

Bhabhi ko kisi achay doctor ko dikhayein. Har waqt paisouN ki bachat ki wajah say app unn ko hakeem kay paas bhejj daytien hain. Kuch khayal karein aik hi biwi hai aap ki…aur waisey bhi doosri dhooondnay ki ammi mya takat nahee aur na hi itnay paisey hain. Meri taraf say salam kheye ga unhey aur tabiut ka pooch lije ga.

Baqqi insha’allah jaldi mulaqaat houggi. apna khayal rakhiye ga. sabb muhalay walouN ko bhi mera salam dijeh ga. woh kounay walli basanti aunty ko bhi.

abb ijzat

AH

faqat EMM