Subha bakhair…
Re: Ab main finally sonay jaa raha hoon...
Bas karo...Itna mat jagao mujhay...
Re: Ab main finally sonay jaa raha hoon...
Bas please...Itna israar mat karo...Mujhay sonay do...
Re: Ab main finally sonay jaa raha hoon…
toubah kitni khush fehmi hai ![]()
Re: Ab main finally sonay jaa raha hoon...
^ salam
Re: Ab main finally sonay jaa raha hoon...
Goood morning
Re: Ab main finally sonay jaa raha hoon...
wa'alaikum salam
kaisey mizaaj hain aap kay? tabiut theek thaak? baal bachay kaisein hai?
Meri dua hai sabb kuch khairiut say ho, ameen
Apna khayal rakhiye ga. Ghar walouN ko salam, bhabhi ko salam aur bachouN ko piyaar dijeh ga mera. Bhabhi say kahiyeh ga kay mai jummay walay din chakkr lagaouN gi aur unn kay hathouN gay garam garam keemay kay naan khanay hain. Bohut yaad atein haiN unn kay hathouN kay naan.
Abb sabb ki muhabbat ki chouN may ijazat
Allah Hafiz
Faqat EMM
Re: Ab main finally sonay jaa raha hoon…
![]()
Jitay rahien khush rahien
aap ka khaat mila parh ka khushi hoie
ALLAH ka sukar hay k mai theak hon bas kal Munnay ko thorha sa bukaar ho gia tha and nani ke tang mai dard tha
baqi babli and and banti theak thaak hain
aap ka poch rahay k thay khala kab a rahi hain un say milnay
aap ke bhabi bichari ke b tabiyat kuch theak nahi hay aaj kal kabi sar mai dard rehta hay to kabi tangoo mai
kabi gala kharab to kabi bukhaar
ji mai un say kahoon ga k apa k liay specail qeemay walay naan and and allo walay parathay and gajar ka halwa bana daiy
aap ke bhabi b aap ko salam day rahi hay and bachay keh rahay payar
acha lagta hay khat kafi laba ho gia hay
baqi batiein jummay walay din hon ge
Faqat:-
IS
Re: Ab main finally sonay jaa raha hoon…
Salam arz hain
aap ka khat parh kar mera dil khushi say garden garden ho gaya. Jiss may nightingales sing kar rahein houN. jiss may chouttay chouttay bachay sand box may khail rahay ho. Jiss may boorha aur boorhi haath pakar kar walking kar rahay ho. App ko andaza nahee kay iss waqat meri halat kiya hai. Haath may khat hai aur aankhouN may maskara.
Munnay ka bukhaar sunn kar pareshaani si ho gayee hai. Uss ka khaya rakhein. Uss ko bukhaar ki dawah pilayein…panadol ko paani may ghoul kar pila dein ..magar addhi say kam panadil lijiye ga. Baqqi ALLAH uss ko shiff day, ameen.
Babli tou masha’allah abb barri ho chukku hougi. Aaj bhi yaad hai mujhay kay woh kaisey har waqt lota haath may liye phirti thee app kay peechay. Banti kiya abhi bhi shrarti hai? Kiya woh abhi bhi aap ki shalwar ka elastic nikaal daytahaii? bachouN ko bohut bohut piyaar dayna mera. Unn say kehna phouphou bohut yaad karteeN hain unn ko.
Bhabhi ko kisi achay doctor ko dikhayein. Har waqt paisouN ki bachat ki wajah say app unn ko hakeem kay paas bhejj daytien hain. Kuch khayal karein aik hi biwi hai aap ki…aur waisey bhi doosri dhooondnay ki ammi mya takat nahee aur na hi itnay paisey hain. Meri taraf say salam kheye ga unhey aur tabiut ka pooch lije ga.
Baqqi insha’allah jaldi mulaqaat houggi. apna khayal rakhiye ga. sabb muhalay walouN ko bhi mera salam dijeh ga. woh kounay walli basanti aunty ko bhi.
abb ijzat
AH
faqat EMM
Re: Ab main finally sonay jaa raha hoon…
meray dil ke halat b wohi hay jo aap k dil ke thi after reading mera khat
ab aap ko pershaan honay ke zaroorat nahi hay ab munna theak thaka hay and uchalta koodta hay
kehta hay k jab phopho aien ge to mai un k baal khaincoon ga
and un ke jo-ain nikaloon ga jesay pehlay nikaalta tha
mujay pehlay panadol to nahi mili thi liken ghar mai bandooq ke 2 goliyan parhi thi mai nay
usay wo khilanay ke koshish ke thi liken bandoooq he nahi chali thi us din
and us k baad wo
khud he theak ho gia tha
ji haan babli b kafi barhi ho gie hay and aap ko bohat yaad karti rehti hay kehti hay k mai b
barhi ho kar phopho ke terha boxing khailoon ge aaj kal to wo is ke prectice b kar rahi hay
kal he us nay masi toobi k baitay ko mukka mar k 2 daant torh diay
ji haan and muj say kehti thi k papa aap phopho ko lota day dain
mujay sharam ati hay
ab b wo esi intazaaar mai hay k kab phopho aien ge takay mai phir un ko loota day sakon
ab to ham nay wash room ka darwaza b lagwa liya hay jo aap ke waja say toorhna parha tha (aap us darwazay say guzar jo nahi saki thi last time)
and is dafa kafi barha aur khula durwaza lagwaya hay umeed hay k is dafa nahi toorhna parhay ga
ji haan ab b to utni he shararti hay is mamlay mai wo bilkul aap par gie hay
ab wo muhalay k bachoon ke shalwaar mai say lastic nikaal daiti hay ![]()
banti aap say bohat naraz hay keh raha hay k phopho ko ab us say payar he nahi raha
kehta hay k esi laiy phopho nay khat mai mera zikar nahi kiya
and ab wo naraz hay app say
and ke raha hay k ab jab aap aien ge to wo aap k sath nahi saiay ga
mai to usay dikhaan do kisay achay doc. ko liken wo manti he nai hay
kehti hay k mai kesi doc. ko nahi dikhoon ge
agar elaaj karwana hay to hakeem say nahi to nahi karwana
ab aap he bataien mai kia karoon
balkay aap usay bamjain k wo doc. k pass chali jaiay
mai nay aap ka salam us tak puncha diya hay wo b salam day rahi hay
and yea hug
b day rahi hay ![]()
baqi muhalay wali b aap ko bohat yaad kartay hain coz ab un ko koi tang karnay wal ajo nahi raha hay
basanti theak thaak hay usi terha hati kati hay
liken wo samnay wali kalo jo thi wo bichari theak nahi hay
abb ijzat
AH
faqat IS
Re: Ab main finally sonay jaa raha hoon…
![]()
ill reply later gotta run for my class ![]()
AH