ab kya ulajh sakega humse ghame-zamaana

ab kya ulajh sakega humse ghame-zamaana
hum tere gesuoon ke halke mein aa chuke hain

ai shorishe-talatum, ab kisko dhoondti hai
muddat hui safeene saahil pe aa chuke hain

ab dil ki khalwaton mein tum aake kya karoge
hum aarzzon ki shammain kab se bhuja chuke hain…!!

Re: ab kya ulajh sakega humse ghame-zamaana

ab dil ki khalwaton mein tum aake kya karoge
hum aarzzon ki shammain kab se bhuja chuke hain.....!!

boht der kardi mehrbaan aate aate :(
<!-- google_ad_section_end -->

Re: ab kya ulajh sakega humse ghame-zamaana

shorishe-talatum?

Re: ab kya ulajh sakega humse ghame-zamaana

Lets wait for PK or would you like to use your last lifeline KKF?

Re: ab kya ulajh sakega humse ghame-zamaana

i would like to request a gs friend.

Re: ab kya ulajh sakega humse ghame-zamaana

ok.. aap ne kareena moti ka gana suna hai aitraaz movie se 'talaatum talaatum'?

Re: ab kya ulajh sakega humse ghame-zamaana

nahi.

Re: ab kya ulajh sakega humse ghame-zamaana

Maa sadqe kitna shareef bacha hai... yani aap ne wo movie hi nahin dekhi ya phir Priyanka ko dekhne ke liye ye gana fast forward kar dia tha ;)

Re: ab kya ulajh sakega humse ghame-zamaana

acha dekhi hogi. mager bohat pruani movie hai; 6 ya 7 sal guzar chkay hain. mujhay yaad nahi.

Re: ab kya ulajh sakega humse ghame-zamaana

gesoun say yeh song yaad aagiya.