ab koi sauda koi junun bhi nahi

** ab koi sauda koi junun bhi nahi
Magar qarar se din kaT rahe hon yun bhi nahi

Lab-o-dahan bhi mila guftagu ka faan bhi mila
Magar jo dil pe guzarati hai kah sakun bhi nahi

Meri zuban ki luknat se badguman na ho
Jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahi

jaise koi diya turbat-e-hava chahe hai
Tu pas aye to mumkin hai main rahun bhi nahi**

Re: ab koi sauda koi junun bhi nahi

Boht umdah,