Ab koi hurf e dua kaam nahin aaye ga

**Ab koi hurf e dua kaam nahin aaye ga
Ab woh mehtab sar-e-baam nahin aaye ga

Ab dhalay ga na kabhi hijr ka jalta sooraj
Ab kabhi wasal ka hangaam nahin aaye ga

Jaa key us koochay mai yunhi palat aain gay
Waqt-e-rukhsat koi dou gaam nahin aaye ga

Dil key darwazay per dastak nahin day ga koi
Koi naama koi pegham nahin aaye ga

Magar aey baad-e-saba us say yeh jaa ker kehna
Is kahani mai koi naam nahin aaye ga**

Re: Ab koi hurf e dua kaam nahin aaye ga

**Ab koi hurf e dua kaam nahin aaye ga
Ab woh mehtab sar-e-baam nahin aaye ga

Kiyun uss ke abba ne seeRhiyon per kutta bandh diya hai jo baam tak nahin aae gi
**

Re: Ab koi hurf e dua kaam nahin aaye ga

[QUOTE]
Magar aey baad-e-saba us say yeh jaa ker kehna
Is kahani mai koi naam nahin aaye ga

[/QUOTE]
good na :D

Re: Ab koi hurf e dua kaam nahin aaye ga

:cb: Bandh bhi dy to kia farq perta hy…
Naya doar hy…MMS sy kaam chal ja`ay ga
2nd Email…etc

Re: Ab koi hurf e dua kaam nahin aaye ga

:hmmm: Naam ka na Aana…?

Re: Ab koi hurf e dua kaam nahin aaye ga

Rehman Malik ki rishte dar hui to ye bhi band ho jaen ge

Re: Ab koi hurf e dua kaam nahin aaye ga

yepp

Re: Ab koi hurf e dua kaam nahin aaye ga

:cb: :omg:

Agar Naam aa ja`ay to…?

Re: Ab koi hurf e dua kaam nahin aaye ga

:k: