~~~~~Ab Kiun????~~~~~

**Abb kiun aisay udaas baithay ho?

jabb woh ik shakhs dastras main tha

uss se milna tumharay buss main tha

uss ki ankhain tumhari ankhain theen

uski batain tumhari batain theen

uska chehra tumhara chehra tha

uske dil par tumhara pehra tha

woh jo kehta tha bai qarari hai

meri sari wafa tumhari hai

sirf tumsay mujhay muhabbat hai

sirf tumsay meri haqeeqat hai

tabb tum uskay har aik jumlay ko

tabb tum uskay har aik jazbay ko

ikk hansi main uraya kartay thay

sunn k tum bhool jaya kartay thay

apni tanhai k galay lagg k

saray ansu woh ro gya ik din

aik pather say dil lagi kar k

khud bhi pather ka ho gya ik din
**

Re: ~~~~~Ab Kiun????~~~~~

Buhat Khoub ....................

Re: ~Ab Kiun???~

thnx:aliyish:

Re: ~~~~~Ab Kiun????~~~~~

kya bat he

Re: ~~~~~Ab Kiun????~~~~~

Awesommeeee!!!!

Re: ~~~~~Ab Kiun????~~~~~

waooo

Re: ~Ab Kiun???~

wow :k:

Meri Marzi :barbie:

Re: ~~~~~Ab Kiun????~~~~~

Wow ... nice one

:bailan:

thnx all

Re: ~Ab Kiun???~

It’s Beautiful Maya..:lajawab:

yah sub key pitai keon kar rahi ho :konfused:

Re: ~~~~~Ab Kiun????~~~~~

V nice ...... bht achi hai ..... liked it alott

**mai ek sheesha tha .. pather ho giya hoo **
**tajub hai ku krr ho giya hoo .... **
gubar-e-jaan simat'ta nhi ...
mai kya tha , kiya bikher kr ho giya hoo ........... !!


abhi kuch din sambhalnay mai lagyee gay ..
mager phle say bether ho giya hoo ...
mai in akhoo ka num pii pii krr ...
khud sumandar ho giya hoo ...............................!!

Re: ~~~~~Ab Kiun????~~~~~

zbrdst sarmad.....very nice

Re: ~Ab Kiun???~

bohat umda :k:

Re: ~~~~~Ab Kiun????~~~~~

awesome stuff

Re: ~Ab Kiun???~

thnx:aliyish:

Very nice

Re: ~~~~~Ab Kiun????~~~~~

thnx