Ab kisi shakhs ki aadat nahi hoti mujh ko

**Ab teri yad se wehshat nahi hoti mujh ko
Zakham khulty hain aziyat nahi hoti mujh ko

Ab koi aye chala jaye mai khush rehta hon
Ab kisi shakhs ki aadat nahi hoti mujh ko

Aisa badla hon tere sheher ka paani pee kar
Jhoot bolon to nadamat nahi hoti mujh ko

Hy amanat main khayanat so kissi ki khatir
koi marta hy to hairat nahi hoti mujh ko

Itna masroof hon jeeney ki hawas main Mohsin
Saans leney ki bhi fursat nahi hoti mujh ko **

Re: Ab kisi shakhs ki aadat nahi hoti mujh ko

Bahut khoob MISS MD …:k:

Re: Ab kisi shakhs ki aadat nahi hoti mujh ko

nyc....

Re: Ab kisi shakhs ki aadat nahi hoti mujh ko

Very Nice Miss MD..