Ab Kis Ka Jashn Manatay Hu Uss Dais ka Ju Taqseem Hua
Ab Kis Ka Geet Sunatay Hu Uss Tun-mun Ka Ju Doneem Hua
Uss Khavab Ka Ju Reeza Reeza Unn Ankhoun Key Taqdeer Hua
Uss Naam Ka Ju Tukray Tukray Galiyoun Main Bay Toqueer Hua
Uss Percham Ka Jiss Key Hurmat Bazaroun Mian Neelam Hui
Uss Mitti Ka Jiss Key Hurmat Mansoob Udduu Kay Naam Hui
Uss Jang Ka Ju Tum Haar Chukay Uss Rasm Ka Ju Jaari Bhee Naheen
Uss Zakham Ka Ju Seenay Pay Na Tha Uss Jaan Ka Ju Vaari Bhee Nahee
Uss Khun Ka Ju Badqismat Tha Rahoun Main Bahaya Tan main Raha
Uss Phool ka Ju Bayqeemat Tha Angan Main Khilla Ya Bun Main Raha
Uss Mashriq Ka Jis Ku Tum Nay Naizay Key Aani Marham Samjha
Uss Maghrib Ka Jiss Ku Tum Nay Jitna Bhee Louta Kum Samjha
Unn Masoomoun Ka Jin Kay Lahu Say Tum Nay Firozaan Raatain Key
Ya Unn Mazloomoun ka Jin Say Khanjar Key Zubaan Main Baatain Key
Uss Mariyam Ka Jiss Key Iffat Luttti Hai Bharay Bazarooun Main
Uss Esa Ka Ju Qatil Hai Aur Shamil hai Gham Khawaroun Main
Unn Noha Garoun ka Jin Nay Hamain Khud Qatal Kiya Khud Rootay Hain
Aaisay Bhee Kaheen Dumsaaz Howay Aaisay Jalad Bhee Hootay Hain
Unn Bhookay Naangay Dhanchoun Ka Ju Raqs Sir-e-Bazaar Kaarain
Yaa Un Zalim Qazakoun Ka Ju Bhais Badal Kar Vaar Kaarain
Yaa Unn Jhootay Iqraroun Ka Ju Aaj Talak Efaa Na Howay
Yaa Unn Baybuss Lacharoun Ka Ju Oor Bhee Dhuk ka Nishan Howay
Uss Shahii ka Ju Dast Ba Dast Aaiee Hai Tumharay Hissay Main
Kyun Nang-e-Watan Key Baat Karoun Kiya Rakha Hai Iss Qissay Main
Ankhoun Mian Chupaiy Ashkoun Ku Hountoun Mian Wafa Kay Bool Liay
Iss Jashn Main Main Bhii Shamil Hun Nauhoun Sya Bhara Kashkul Liay