ab kidhar maail-e-parvaaz hoon, maloom nahi

log kehtay hain keh parbat say nikal kar chashme
kisi khoee huwi manzil ki taraf behtay hain
aur sar-e-shaam hawa unn kay liyay chalti hay
jin kay mehboob buhut door kaheen rehtay hain

koi paighaam nahi jiss ki tawaqqo ho mujhe
kis liyay gosh-bar-awaaz hoon maloom nahi
jo kabhi dil mai tamanna thi woh aaghosh mai hay
ab kidhar maail-e-parvaaz hoon maloom nahi

nahi maloom iss gham ki haqeeqat kiya hay
ashk ban kar meri aankhon say baha jaata hay
labb pay aata nahi woh jazba-e-baytaab magar
geet ban-nay kay liyay dil mai raha jaata hay..

Saif ud-din Saif

Beautiful...

sehzadi sahiba boht ache ghazal hai:k::k:

Beautiful.....

Re: ab kidhar maail-e-parvaaz hoon, maloom nahi

[QUOTE]
*Originally posted by hayaa: *
log kehtay hain keh parbat say nikal kar chashme
kisi khoee huwi manzil ki taraf behtay hain
aur sar-e-shaam hawa unn kay liyay chalti hay
jin kay mehboob buhut door kaheen rehtay hain

[/QUOTE]

bohat khoob thanks 4 sharing haya..:)..wesay ye ap ki tashreef kafi dino baad ti sab khayriat ha na..:)

:k: nice one :slight_smile:

buhat hi achha ..really very nice
saif saahab and aap kii donon ki kiyaa baat hai..
I t really is very beautiful
thnx 4 sharing it