Ab ke saal kuch aisa karna
Apnay guzray bara maah kay
dukh sukh ka andaza karna
bisri yadein taaza karna
Saada sa ek kaghaz lay kar
Bhoolay bisray pal likh layna
Apnay saray kal likh layna
phir is beetay ik ik pal ka
apnay guzray ik ik kal ka
ik ik moR ehata karna
saray dost ikhatta karna
sari subhein hazir karna
sari shamein pass bulana
aur ilawa unkay daykho
saray mausam dhiyaan may rakhna
ik ik yaad gumaan may rakhna
phir mohtaat qiyaas lagana
gar to khushyian baRh jati hain
to phir tum ko meri taraf say
“Anay wala saal mubarak”
aur gar gham baRh jain to
mat baykaar takalluf karna
daykho phir tum aisa karna
meri khushiyan tum lay layna
mujh ko apnay gham day dayna
Ab kay saal kuch aisa karna…
wowowow :k: Just Beautifulll .. I am in love with it… Such a lovely thought… Thanks a lot for sharing X-Com ![]()
khoob
:k:
buhet khoob :k: