Ab ke phuuloN ne khud ko kaRi saza dii ho gee
Rah gulshan ki khaza’oN ko dikha dii ho gee
Jab vo aaya tou koi dar, koi khiRki na khuli
Us ne aaney maiN bohat dair laga dii ho gee
Ja! teri palkoN pey barsaat ka mausam thehre
BaadloN ney meri aankhoN ko dua dii ho gee
Raat jo chaand ko chupke se bataii mein ne
Baat vo sab ko hava’on ne bata dii ho gee
RanG jo aankHoN main jhalka hai usi ka ho ga
Gul-e-lala ne jigar ko jo qaba dii ho gee
Dosh apna bhii hai kuch baat biGaR jaane maiN
Aur logoN ne bhii kuch us ko havaa dii ho gee
Shokh andaaz, chal mast sabaa ko dey kar
Ham ney kaliyoN ko simatne ki adaa dii ho gee
Vo “Batuul” aaey ga milney, mili jab se khabar
KehkashaaN zakHmoN ki raaste maiN saja dii ho gee.
(Fakhira Batool)